With fast internet connection and tons of people creating content, Marketers testing new ways to monetize their client’s content and product, Consumers are hard to attract.
Jitna fast hum jaa rhe hein, jitni teezi se new cheezein samne arahi hein, har dosra banda millionaire ban’ne k dreams le k digital space me araha hai, q k yahi field hai jis me sab k pas equal opportunity hai.
internet ne ameer ghareeb ka farq khtm kr diya hai, If you have quality content or product you can standout from the crowd.
laiken
jitni teezi se humare pas get quick rich k ideas samne arahe hein, utne he hum kamzoor hote jate hein, Hum focus ni kr pa rhe k krein to kya krein. Paisa to har cheez me ban rha hai.
in the age of information jis cheez ki kami hai woh hai implementation ki. Kisi ik cheez pe focus krne ki.
humare samne roz success stories arahi hein, Koi blog x30 pe sell kr rha hai, To koi Fiverr aur upwork pe hazaron dollars bana rha hai, Koi youtube pe ik video pe millions views le rha hai to kisi ka instagram viral ho rha hai.
newbie k liye yahi sab se bara masla hai, k woh kre to kya kre, Is cheez ne to bhai Experience bando ko b nakara bana diya hai, Paisa sab business me hai ab har roz uske bare me search krte hein, Content consume krte hein, Phir agle din dosri cheez me hath pair marne lagte hein.
How you can tackle this?
focus on single business, single niche and boss it. Jb tk hum maindak ki trah idr udr jump lagate jayenge. tb tk humara sirf time he waste hoga.
apko log Sirf ik kaam ki waja se janege, Har kaam k liye nahi. So app b ik cheez me hath pair marein. Rastey khud bante jayenge.
sat sat dosri cheezein zaror explore krein, Laiken Pehchan sirf ik cheez me.
har cheez ka content consume krne se acha, app ik cheez ko pakre uske content ko consume krein aur us me khud ko unbeatable banayein.
To The Top ?
Leave a Reply